Bharam Rakho Mohabbat Ka
Wafa Ki Shaan Ban Jao,
Kisi Par Jaan De Do Ya
Kisi Ki Jaan Ban Jao,
Tumhare Naam Se Mujhko
Pukaare Yeh Jahan Wale,
Main Ban Jayun Afsaana
Aur Tum Unwaan Ban Jaao.
Hum Bhi Maujood The Takdeer Ke Darwaje Pe,
Log Daulat Par Gire Aur Humne Tujhe Maang Liya.
Na Samet Sakoge Qayamat Tak Jise Tum,
Kasam Tumhari Tumhein Itni Mohabbat Karte Hain.
उस मासूम शराब की मोहब्बत भी क्या खूब थी ।।
जालिम एक बार लबो पे लगी तो फिर कभी उसने बेवफाई ना की।।
Me Tumhe Kismat Ki Lakeeron Se Chura Leta…..
Faqat Ek Bar Tumne Mera Hone Ka Dawa To Kiya Hota…
Mujhe mere Kal ki Fikar Aaj bhi nahi hai..
Par Khuwahish tO tujhe Paane ki Qayamat tak rahegi..