दूर तक छाए थे बादल और कहीं साया न था
इस तरह बरसात का मौसम कभी आया न था..!!
Lo Aaj Phir Ronay Laga Hai Asmaan,
Ban Ke Barish..
Shayad Aaj us ko phir
Ehsas Hua Hai Meri Tanhai Ka!
Aaj Ki Is Barish Me
Sath Tum Nhi Ho To,
Aankh Nam Si Kitni Hai,
Saans Tang Si Kitni Hai,
Rooh Pyasi Kitni Hai
Yeh Udaasi Kitni Hai,
Aaj Ki Is Barish Me.
कभी शोख हैं,
कभी गुम सी है..
ये बारिशे भी तुम सी है..
Barsat Ki Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhaani Yaad Aayi,Kuchh Apna Zamaana Yaad Aaya Kuchh Unki Jawaani Yaad Aayi,Hum Bhool Chuke They Jisne Hamein Duniya Mein Akela Chhor Diya,Jab Ghaur Kiya To Ek Soorat Jaani Pehchaani Yaad Aayi